Maa To Ek Anmol Ratan Hai Hindi Kavita on Maa

Maa ki Kavita


















 
Maa To Ek Anmol Ratan Hai
Jisko Milti Wahi Jiya Hai
Maa Ke Bin Sab Suna Laage
Har Apna Bhi Begana Laage

Maa Rab Ka Ek Vardaan Hai
Uske Bhi Kuch Armaan Hai
Bachhe Uske Khush Rahe
Daya Ka Karti Daan Hai

Maa Sa Koi Naa Jag Me Dooja
Maa Ka Bhi Abhimaan Hai
Shakti Ka Sa Roop Hai Maa Ka
Mamta Bhi Iska Naam Hai

To Farz Hamara Banta Hai
Maa Baap Ki Sewa Khoob Karein
Har Pal Khushiyan Dekar Inko
Aulad Ka Farz Hum Ada Karein

Share this

Write a comment for "Maa To Ek Anmol Ratan Hai Hindi Kavita on Maa"

Post a Comment