Maa Ki Mamta Aur Gaon Ki Yaad Kavita

Sad Kavita













Chota Sa Tha Jab Maa Ki Ungli Pakadta Tha
Nanhe Nanhe Kadmo Se Maa Ki Aur Badhta Tha
Muskurati Thi Maa To Mai Bhi Khoob Hasta Tha
Lagati Daant Jo Kabhi Mujhko Maa
To Phat Se Mai Ro Deta Tha

Bas Roz Hi Aise Aksar Apna
Jeevan Pyar Se Chalta Tha
Maa Mujhko Pyar Se Khilati Khana
Aur Mai Bhi Pyar Se Khata Tha

Phir Ik Din Aisa Kehar Tha Aya
Paya Nahi Tha Khoya Sabne
Khushal Se Mere Gaon Mein Sabne
Kho Diye Kayi Rishte Apne

Sundar Se Is Gaon Mein Kabhi
Ek Ghar Bhi Apna Hota Tha
Chota Sa Parivar Hamara
Is Gaon Mein Kabhi Rehta Tha

Share this

Write a comment for "Maa Ki Mamta Aur Gaon Ki Yaad Kavita"

Post a Comment