Nari Ka Sahas Nari Shakti Kavita in Hindi

Nari Par Sahas Bhari Hindi Kavita














Jab Choti Si Thi Tab Maa Ki Ungli Pakadti Thi
Nanhe Nanhe Kadmo Se Mai Maa Ke Saath Chalti Thi
Karti Maa Jo Mujhko Gussa Mai Bhi Jhat Ro Deti Thi
Maa Beti Hum Dono Milkar Hasti Aur Khela Karti Thi

Bas Isi Tarah Ye Jindgi To Apni Roz Kat Ti Thi
Karti Maa Jab Ghar Ka Kaam Madad Mai Bhi Karti Thi
Badi Hui To Maa Se Apni Baatein Dheron Karti Thi
Maa Beti Bas Karte Karte Ye Zindgi Apni Chalti Thi

Phir Ek Din Maano Aisa Aya Jab Mai Bilkul Akeli Thi
Maa Ke Hote Huwe Bhi Ghar Mein Aksar Darti Rehti Thi
Na Jana Kahin Tha Mujhe Gawara Na Baatein Jyada Karti Thi
Gumsum Si Mai Ghar Par Baithe Aksar Bas Socha Karti Thi

Kaise Kahoon Mai Maa Ko Apni Kyon Mai Gumsum Rehti Hoon
Kaise Kahoon Mai Maa Se Apni Kis Se Mai Akhir Darti Hoon
Kaha Jo Maine Maa Ko Apni Chintit Wo Hoj Jayegi
Meri Tarah Hi Wo Bhi Sun Ye Baat Bahut Ghabra Jayegi

Jab Maa Ne Pucha Ek Din Mujhko Huwa Hai Akhir Kya Ye Tujhko
Hai Koi To Baat Tere Is Man Nahi Batati Jo Tu Mujhko
Mujhe Batao Meri Beti Kis Baat Ka Dar Hai Tumko Beti
Kal Tak Baatein Thi Batati Kyon Nahi Batati Ab Tu Mujhko

Kahi Ye Baat Jo Maine Maa Ko Pareshan Hai Karte Ladke Mujhko
Jab Bhi Gali Se Niklu Apni Ganddi Nazar Se Dekhe Mujhko
Bas Nahi Bataya Yahi Sochkar Kahin Chinta Na Hojaye Tujhko
Ab Kahi Hai Baat Ye Maine Tumko Kaho To Maa Kya Karna Humko

Sunkar Sari Baatein Meri Phir Maa Ne Meri Kaha Ye Mujhko
Ye Duniya Aisi Hi Hai Beti Darna Nahi Hai Is Se Humko
Kare Jo Ladke Tang Ab Tujhko Darna Nahi Hai Unse Tujhko
Bas Apni Achi Budhi-Shakti Se Ab Dena Jawaab Tu Beti Unko

Mai Baat Ye Saari Ladkiyon Se Kehna Ab Ye Chahti Hoon
Darna Nahi Hai Humko Kisi Se Sahas Karo Ye Kehti Hoon
Har Nari Shakti Roop Hai Hoti Mai Ye Tumse Kehti Hoon
Na Saho Kisi Ka Atyachar Sahas Se Jiyo Ye Kehti Hoon

Share this

1 Response to "Nari Ka Sahas Nari Shakti Kavita in Hindi"