Nari Kavita in Hindi On Nari Ka Jeevan

Hindi Kavita Nari Jeewan


















Logon Ki Buri Nazron Se
Bachna Mein Chahti Hoon
Deti Hai Yeh Dhokha Aksar
Mai Nafrat Inse Karti Hoon

Phir Duniya Wale Jobhi Soche
Mai Apne Man Ki Karti Hoon
Jobhi Buri Nazar Se Dekhe
Mai Ungli Uspar Karti Hoon

Jab Bhi Jaanam Ho Dharti Par
Mai Nari Jeevan Chahti Hoon
Umeed Se Jyada Nahi Magar
Kuch Khushiyan Pana Chahti Hoon

Nari Hoon Mai Yahi Sochkar
Na Kbhi Kisi Se Darti Hoon
Nari Roop Mein Khud Ko Pakar
Aabhar Vyakt Mai Karti Hoon

Share this

Write a comment for "Nari Kavita in Hindi On Nari Ka Jeevan"

Post a Comment