Desh Bhakti Hindi Top 5 Best Shayari

We are pleased to provide you some new Hindi Desh Bhakti Azadi Shayari Kavita on our Desh Ke Veer Jawan. Here you can read our latest Desh Bhakti Shayari Quotes like Desh Ke Jawano Par Abhiman, Shaheedon Ke Naam Ka Deepak, Vatan Ko Chaho To Dil Se, Veer Bolte Hai Unko, Dil Mein Hai Chahat Tirange Ki. You can send these Top 5 Best Hindi Desh Bhakti Shayari Sms to your friends or relatives on Republic Day, Sainik Diwas, Independence Day and Patriotic Day.

Top 5 Best Hindi Desh Bhakti Shayari Kavita















Desh Ke Jawano Par Hum Sabko Hi Abhiman Hai
Inki Desh Bhakti Ka Humko Bhi Sammaan Hai
Karte Hai Chaaron Pehar Ye Desh Ki Suraksha
Ye Veer Jawan To Bharat Ki Anokhi Shaan Hai


Dukh Ko Bhulakar Aaj Jashan Hum Manate Hai
Shaheedon Ke Naam Ka Deepak Hum Jalate Hai
Desh Ki Azadi Aaj Inse Hi To Mumkin Hai
Desh Ke In Veeron Ko Hero Hum Bulate Hai


Vatan Ko Chaho To Dil Se Chahana Chahiye
Is Desh Ke Liye Kuch To Karna Chahiye
Agar Sankat Mein Ho Kabhi Desh Hamara
Sahas Ka Kadam Badhana Jaroor Chahiye


Veer Bolte Hai Unko Jo Desh Ke Kaam Aate Hai
Haste Haste Sooli Chadhte Seersh Bhi Katate Hai
Gulam Nahi Hai Bante Naa Banne Desh Ko Dete Hai
Chalo Milkar Hum Sab Inko Salam Dil Se Karte Hai


Is Dil Mein Hai Chahat Tirange Ki
Hum Tiranga Ye Dost Lehrayenge
Arey Shaan Hai Tiranga Is Desh Ka
Hum Iska Ye Gaurav Badhayenge
Jai Hind! Jai Bharat! Jai Jawan!

Share this

2 Responses to "Desh Bhakti Hindi Top 5 Best Shayari"

  1. Thanks for the lovely Desh Bhakti Shayari collection. Happy Republic Day.

    ReplyDelete