A Poem For Mother Poetry on Mother | Mother Quotes | Mother Poems

 Poem on Maa














Maa Ne Humko Janam Diya Hai
Sabse Jyada Pyar Kiya Hai
Chalne Ko Taiyar Kiya Hai
Badhne Ko Utsuk Kiya Hai

Maa Wo Jo Bhukho Pait Rahi Hai
Bachhon Ko Bhar Pait Rakhi Hai
Maa Ne Humko Hai Sikhaya
Buron Ki Sangati Kabhi Na Karna

Maa Wo Jo Dard Na Deti Hai
Bachhon Ko Mamta Deti Hai
Dard Hamara Sehti Hai
Par Kasht Na Hone Deti Hai

Hua Jo Maa Ka Laal Bimar
Hua Hai Maa Ka Bura Haal
Raat Raat Bhar Jag Jag K
Kari Hai Sewa Thak thak K

Maa Ne Humko Kamyaab Banaya
Apne Pairon Pe Khada Karaya
Yaad Hai Aksar Ye Dilaya
Kabhi Na Palo Bura Saya

Phir Aaj Tujhe Ye Kya Hua Hai
Budhi Maa Ko Bhul Gaya Hai
Pyar Kahan Ye Kho Gaya Hai
Kyon Maa Ko Khud Se Door Kiya Hai

Maa Hui Jo Budhi Kya Hua
Kabhi Tu Budha Hoyega
Tab Tu Bahut Hai Royega
Jab Tere Sang Aisa Hoyega

Are Maa K Jaisa Koi Nahi
Mamta Ka Koi Mol Nahi
Maa Ko Sada Tum Pyar Karo
Unka Aadar Satkar Karo....

Share this

3 Responses to "A Poem For Mother Poetry on Mother | Mother Quotes | Mother Poems"