Maa Ki Pyari Mamta Hindi Poem | Hindi Kavita For Mother

 Maa Ki Mamta Poem

















Mamta Bhari In Aankhon Mein
Ek Ashirwad Bhi Hota Hai
Maa Se Ghar Ke Angan Mein
Bhagwan Ka Ehsaas Bhi Hota Hai

Wo Dikhti To Hai Khush Magar
Dard Bhi Saath Hota Hai
Sab Bhuli Bisri Aati Hai
Jab Baccha Uska Rota Hai

Maa Paaley  Pousey Hum Sabko
Phir Bhi Kyon Aisa Hota Hai
Bhagdad Ki Is Duniya Mein
Tu Maa Ko Hi Kho Deta Hai

Is Mamta Ko Main Bhul Na Pauon
Jis Se Roshan Jeevan Hota Hai
Maa Ki Har Ek Daant Mein Aksar
Pyar Chupa Bhi Hota Hai

Ab Fikar Bahut Hi Hoti Hai
Jab Maa Ko Kuch Bhi Hota Hai
Maa Ki Haalat Bigde To 
Dil Mera Bahut Ye Rota Hai

Share this

1 Response to "Maa Ki Pyari Mamta Hindi Poem | Hindi Kavita For Mother"